Agriculture me career kaise banaye kya hai scope



Agriculture me career kaise banaye kya hai  scope

Aajkal hamare desh ke kai yuva jo adhiktar Doctor , Engineer  , CA aadi banne ki hod me lage hue hai . isliye in fields me din pe din competition badta  ja rha hai jo etna he man pratistha , paisa dila sake hai ? jee ha aise aur bhi kai course hai jinko karne ke baad aap aapni life set kar skte hai . aaj ka hmara Vishay hai Agriculture aaj hum is post  me Agriculture me career kaise banaye kya hai Scope  is  Vishay ki puri jankari   smjhne ki koishs kijiye gya .

 
 Agriculture me career kaise banaye kya hai  scope, after 12 agriculture me carrer kya hai
 Agriculture me career kaise banaye 


Kya hai Agriculture


Jaise ki aap sbhi jante hai ki hamara desh krishi pradhan desh hai yahan ki aabadi ka bada hissa krishi par nirbhar karta hai . isi krishi ko advance banana ke liye agriculture field me hum kai nai takniko ki jankari prapt karte hai .
Ariculture yani krishi (kheti kisani ) ko nai technology ka use karke aur behtar banana ki prakriya jisse kam kharch me adhik utpadan ho sake . iske sath he agriculture field se jude kary ko aur behtar  tarike se karna he agriculture hai .

PILOT KAISE BANE | PILOT CAREER INFORMATION
.

   Agriculture me career ki kya sambhavna hai

Agriculture  me career ki apar sambhavna hai aisa nhi hai ki aap agriculture me study karke kheti he kare . aaj Govt of India ke kai department , Bank , private company aadi me agriculture specialist ki post nikalti hai jaha aap achi salary par kamm kar skte hai . Aaiye  detail me janne ki kosish karte hai kya hai Agriculture job .

·         Govt  job  : Agriculture se Bsc . ya Msc karne ke baad aap Govt ke kai vibhag  evm mantralay jaise ministry of Agriculture , Department of Agriculture  Research and Education , Agriculture & Farmers  Welfare department , jaise kai vibhago me samay samay par nikalne wali vacancy ke liye apply kar skte hai .

·         Bank AFO   :   Agriculture me study karne ke baad aapke liye Bank AFO  (Agriculture field officer ) ek best option hota hai .IBPS specialist officer ki exm dekar aap Bank me direct officer rank par pahuch sakte hai jaha aapko Agriculture se related loan sanction karne visit karne jaise kaam karne hota hai . Is field me aapko shurat se he achi salary evm any bhatte milna shuru ho jate hai .

·         Private job : kai badi company hai jo krishi kshetr ko aur advance banana ke liye kai tarah ke product supply karti hai ishi company me aap job ke liye apply kar skte hai demands adhik hone aur logo ka kam interest hone ki vajah se is field me bhi paisa bhut hai .

·         Teaching job  : Aap Agriculture me Msc ya Ph.D karne ke baad school ya college me Agriculture se related course padda skte hai aur logo ko Agriculture ki nai technology se aware kara skte hai.
Is tarah ke any kai kshetr hai jaha aap aapna career bana skte hai . aur is sb ke liye aapko aapki study Agriculture me karna hogi aaiye jante hai Agriculture study bare me .

12th ke baad study in Agriculture


 Agar  aapke area me 12th Agriculture ka option available hai to aap vah kar skte hai isme aapko physics ,chemistry , Biology ke sath me Agriculture ka ek subject padana hota hai .Agar aap 12th Agriculture ae karte hai to aapko BSC. Me aasani se admission mil jata hai .
12th Agriculture se nhi ho tab bhi aap 12th me science (bio ) ke baad Bsc Agriculture me admission le sakte hai . Bsc. Agriculture ke  baad he aap kai jobs ke liye apply kar skte hai aur yadi aap iske baad Msc with Agricukture kar lete hai to aapka Base bhut majbut  ho jata hai fir aap Agriculture ki kai higher post jaise :Agriculture  officer , Agriculture field officer , Agriculture development officer , agriculture specialist aadi ke liye apply kar skte hai .


BSc Agriculture & MSc Agriculture kaha se kare


BSc. Agriculture and Msc Agriculture karne ke liye aapko  aapke state me best  Agriculture  college search karna hoga yaad rakhiye  ye Govt college he hona chahiye niche kuch Best Agriculture colleges ki list de gai hai .


  • ·         Banaras Hindu University
  • ·         Khalsa college panjab
  • ·         Chandigad  University
  • ·         Panjab Agriculture university

  • ·         Guru angad dev veterinary and  animal sciences university
Iske alava bhi hamare desh me kai college hai jaha se aap Agriculture ki study kar skte hai . aura cha job paa skte hai.

To dosto aapko Agriculture me career kaise  banaya kya hai scope .yah post kaisi lagi hume jaru bataye aapki ray comment ke madhyam se de . koi prolm ho to aap comment box me puch skte hai .


Newest
Previous
Next Post »