Graduation ke Baad kya kare ki puri jaankari
Agar aap ye soach
rahe to ki graduation ke baad kya kare to ye kuch
optin hai joh aap dekh sakte hai aapna career start karne ke liye.
Chaliye jante hai
…………….
1. Bank PO/Clerk /Assistant
Graduation ke baad Bank
mein job karna ek bhut acha hai. Aur lakhon log bank mein job karna
bhi chahate hai . Agar aapne graduation complete karli hai to bank
jobs especially sarkari bank job ke liye eligible ho jaate hai . Aap graduation
kisi bhi field se kar skate hai pa minimum 55% marks chahiye hote
hai bank jobs ke apply karne ke liye. Bank PO/ clerical jobs mein entrance
exams ke basis par recruitment hoti hai .
Bank mein job ke liye
options hai :
· SBI PO
· IBPS PO
· SBI Clerk
· IBPS Clerk
· RBI Assistant
· RBI Grade B
· IBPS RRB Officer Scale
– I and office Assient
Yesb ke bare me aapko
detail me jana hai to comment box me bataiye . hum puri kosish kare .
2. BPO Jobs / Call centre ski naukri
BPO ka full form
hota hai Business processing Outsourcing . BPO / Call centre in
simple words mean to ki apni company ka kuch kaam kisi third
party ko dena taki productivity increase ho aur cost save ho .
Jaise ki koi company joh kapadhe banake online
bechati hai usko bhut sare customer queries bhi aati hogi
. Ab company ka main kaam kapadhe banana par customer ki promble bhi
solve karna Zaruri hai to ya company customer queries solve karne ka kaam karti
BPO ko dedegi joh yahi kaam karti hai . Is kehte hai kaam outsource karna
matlab aap kaam kisi aur ko dedena .
Eligibility
12th pass
/ Gradation kisi bhi field se
Freshers
joh graduation ke bad naukari dhundh rahe hai unke liye
bhut acha option hai ye.
Skills
required
Basic computer
knowledge, good communication skills. Basic English /
local language ( for domestic ) , good listening skills, negotiation
skills .
BPO/ Call center do type ki hote hai
1 . International BPO/ Call center
International call
center me kaam karne ke liye aapko English aani bhut zaruri hai
kyuki aap un customer se baaat – chit ( interact ) karenge joh dusre
desho me hai aur unse baat karne k liye common language English
hi hai . isliye achi English aana zaruri hai international call
center me kaam karne k liye . aap abroad jake bhi kaam
kar sakte hai .
Starting salary : 15,000-25,000
per month with incentives , food and cab allowance.
2. Domestic Bpo /Call centers
Domestic call center
ek hi desh ke customer k liye hote hai . jaise ki India k domestic
call centers joh sirf Indian customers k liye hote hai . Indian me
itni alag alag language boli jati hai aur state me alag language
hai . isliye domestic call centers ko har regional language me baat karne wale
logo ki zaruat hoti hai taki customer se baat karne me koi language
barrier na aaye. Isliye regional language bolne walo ki bhut demand
badh gayi hai ab is sector me.
Starting salary : 10,000-20,000
per month with incentives , food and cab allowance.
BPO Me kaaam karne ka fayda
BPO K naurki apne career ko shuroo karane
ka ek bhut acha optional hai . ye sector pichle 15 years me bhut grow hua hai .
Globalisation hone se bhut sari Foreign companies ne
India me BPO sector shuru kia tha jisase lakho logo ko employement
mili hai . AAj bhi ye sector me bhut jobs hai aura b bhut sari Indian companies bhi is
sector me aa chuki hai . Yha pelogo ko bhut sikhne ko milta hai .
unki communication skills bhut improve hoti hai . Is sector me
saal bhar naukari hoti hai joh kisi bhi shehar me rehke kari ja
sakti .
3. Entry level jobs in private companies
Private banks
/ private companies / Hotels jaise ki Axis bank , HCL graduation ko
hire karlti hai bahut profile ke liye . These profiles are a
good start for graduates.
Eligibility
Graduation kis bhi
field se ho skati hai .
Skill required
Excellent computer
skills. Fast typing speed , Basic knowledge of software , English ,
Good communication skills ( both read and write ).
Starting salary : 10,00 – 20,000 per month
.
4. Entry level jobs in Aviation sector
Aviation industry
me pilot aur cabin crew k alava bhut sare alag alag staff ki zarurat
padhti hai joh ground aur airport manage karte hai aur unko ground
duty staff bolte hai .
Eligibility
Graduation ksi
bhi field se ho sakti hai .
Kya kaam hota hai
· Security
· Help Desk
· Guest relation
· Customer care
· Inquiry Desk
· House Keeping
· Admin
· Documentation
Starting salary : 10,00 –
25,000 per month
Naukari kaha kar sakte hai
Sari airline
companies jaise ki jet airways , Go Air , Goindigo, vistara ground staff ke
liye hire karti rehti hai . In companies k alva Airport authorities bhi
hire karti hai ground staff ke liye .
5 . Digital Marketing job ( social Media Marketing)
Digital marketing ka
matalab hai ki samaan / sevaon ke prachaar ( promotion ) liye internet ka uayog
( use ) karna . jaise ki jab bhi internet par koi website
kholte hao ya youtube video dekhte hai to usme advertisements aati
hai aur ye digital marketing ka hissa hota hai .
Digital marketing me career
Agar Aap
ye soach rahe to ki graduation ke baad kya kare to Digital marketing ek
bhut acha option hai creer shuru karne ke liye. Digital
marketing is Waqt sabse powerful promotional tool hai iski reach ki
wajah se kyuki ye ek sath lakho logo tak aapki baat pahuchane ki
shamta rakhta hai . yahi wajah hai ki ab companies advertisement
karne ke liye social media ka use karti hai aur isliye digital
marketer / social media managers ki bhut demand badh gayi hai . jin logo ko
interner par kaam karna acha lagta hai .
![]() |
After Graduation |
Digital marketing internet se sikhi ja sakti
hai ya isme
Certificate / diploma
course bhi kiya ja sakta hai . course karne ke baad “
intership “ kare taki aapko ache sikhane ko mile aur experenice mile jaise
aapko naukari milne me asani ho.
Starting salary : 10.000-25,000 per month
. Experienced candidate RS. 2,00,000 per month tak kama
sakte hai .
Aur koi
jaankari ise related jaani hai to comment box me puch sakte hai . hme umid hai aapko jo v jankari diye ho gye ache se smjh me aa gya ho gya ...
ConversionConversion EmoticonEmoticon