ITI Electrician jobs ki puri jaankari
Hum sabhi apne rozmarra ke kamo ko karane ke liye bijli par bhut adhik nirbhar rehte hai . Lekkin bijli jitni humare liye upyogi hai , bina gyan ke wo utni hi khataenakh bhi hai . Adhikaansh log ek thekedaar ke maadhyam se bijli ka kaam seekhate hai aur kaam karna shuru kar dete hai jo ki sahi hai , lekin kya aapko pata hai ek skilled electrician banne ke liye apko kin kin chizo ki jarurat hoti hai ? kyuki sahi jaankari ki kami ke karan humare desh me electrician ki availability demand se kam hai . Iss article mein aapko electrician career se judi jaankari jaise ITI electrician course . License ITI electrician jobs etc ke bare mein batayenge.
12th class karne ke baad “CARRER OPTION” kya ha
![]() |
ITI Electrician |
12th class karne ke baad “CARRER OPTION” kya ha
Electrician kya hai
Bijli se chalne wale ksi bhi yantra jese pankha ,t.v , motor etc . jinme bijli ka use hota hai uski marramat or nirmaan karne wale vyakti ko electrician kehte hai . Bijli ke fitting aur marammat ke liye ek trained ir skilled electrician ki aavashyaakata humesha hoti hai , jo kisis bhi tarah ki kharabi ko sambhaal ske .
Electrician training in Hindi
Kisi bhi organization me ya badi company ya govt. sector me jyaadaatar unhi logon ko mauka diya jata hai jinhone koi professional training li hai . kisi company me electrician ke roop mein kaam karne ke liye aapko Industrial Training Institutes ( ITI) se electrician ka course karna jaruri hota hai
Trade course : Elextrician
Duration : 2 yr .
Eligibility criteria : 10th passed
ITI Electrician Training course
Electrician course ya training karne ke liye ITI yaani Industrial Training Institute sabse acha vikalp hai India mein . ITI ke centres har chote badhe shehar mein hote hai aur inki training course kafi acha maana jaata hai .
ITI Electrician Apprenticeship
ITI electrician job ke liye course khatam karne ke baad aapko kisi bhi company ya government sector ke under ITI electrician apprenticeship training karna zaruri hai . Apprenticeship training me apko electrical theory , blueprint reading , mathematics , electrical code requirements , safety aur first-aid ki vishesh training di jati hai Training ke baad apko ek certificate diya jata hai jo apko naukari ki talaash karte samay ek experience certificate ke roop me kaam karte hai .
Qualification : 10 + ITI from Electrician Trade
Age : 16 +years
Duration : 1- 15 yrs.
ITI Electrician Apprenticeship vacancies
Har saal Railway , ONGC ,IOCL ,PSU jaise HAL ,BEL etc . me apprentice vacancies nikalti rehti hai .
Railway Apprenticeship : Railway me naukari karne ka bhut acha mauka hota hai Railway Apprenticeship . railway se apprenticeship karne wale ko aksar railway me hi permanent job bhi milne ke bhut chances hote hai .
ONGC Apprenticeship : ONGC me har saal alag jagahon ke liye apprentice bharti nikalati hai . Electrician diploma wale ONGC apprentice bhartee ke liye aavedan kar sakate hai .
ITI Apprenticeship kaise kare
Bharat me apprenticeship karne ke liye Govt. ne National Apprenticeship Training scheme (NATS) lagu ki hai jiske liye apko online registration karna jaruri hai .
Electrical licence Type
Apprenticeship training ke baad agar bijli mistri ya bijli thekedaar banna chahte hai ya phir apni bijli ki dukaan kholna chahte hai to apko commercial aur residential license ke liye apply karna hoga . electrical condtractor / thekedaar license ke liye A aur B Grade ka license hoga.
Ye licence 3 tarika ke hote hai jaise :
A- Grade License
B- Grade License
C- Grade License
ITI Electrician ke Baad kya kare
ITI electrician career mein 3 options hai India me;
· ITI Electricain jobs
1)Aap public sector undertaking (psu ,MNC , private aur Govt. Industries me electrician ka kaam kar saakte hai . Aap kisi bhi rajya me bijli board aur vibhag me kaam kar skte hai .
2) Aap License lekar khud ka kaam jese gharo me bijli fitting , wiring ka kaaam shuru kar sakte hai . Iske liye aapko C License lena avashayak hai .
3) Aap electrical contractor ka license lekar wiring contractor bhi ban sakte hai . Electrical contractor banne ke liye apko License A &B lena jaruri hai .
12 th pass Govt job : Latest 12th pass sarkari Naukri
12 th pass Govt job : Latest 12th pass sarkari Naukri
· Business
Electrician ka course karne baad aap aapni bijli ki dukaan bhi khol sakte hai.
· Urban Clap
Aap electrician ka course karne ke baad apne aap urban clap me ek electrician ke taur pe jud sakte hai.
ITI Electrician job salary
Waise to electrician ki salary mukhy roop se us project par nirbhar karata hai jis par wo kaam kar rahe hai. Ape career ke shuruwar me, jo log private job kar rahe hai , wo par month 12000 – 15000 rupaye ke vetan ke sath shuroo kar sakate hai . Lekin anubhav ke sath apki salary RS. 25,000 – 30,000 ke aas pass kahi bhi kama sakte hai .
Sarkari sector me railways , electricity board , Indian oil rigs and companies , Telephone Department , Airport etc .kuch aese department hai jaha aap exam ke liye apply kar sakte hai . sarkari naukri praapt karane ke liye apko PSC examinations clear karna padta hai.
Doston is post me hum apko electrician se sambandhit sari jaankari dene ki koshish ki hai . Ise aapk dhyan se pade. Agar is post se related apke koi bhi sawal hai to niche comment box me puch sakte hai .aur yehe jankari aapko pasand aaye to dosto ke sat share jarur kare.
ConversionConversion EmoticonEmoticon