Pdhai karne ka sabse Aasaan aur sahi Tarika
![]() |
padhai kaise kare |
Padhai karne zaruri hai ye to aap jaaante he hogye . ache se padhai karke aapne jeewan me bahut kuch kar skate hai aur apne sapno ko sakaar kar sakte hai . magar padhai karne ka aasaan aur sahi tarika kya hai , ye hum aapko iss article me batye gye.
12th class karne ke baad “CARRER OPTION” kya hai
12th class karne ke baad “CARRER OPTION” kya hai
Pdhai karne ka sabse Aasaan aur sahi Tarika jaane ke liye neeche diye gaye Instructions ko follow kare
Padhai zaruri hai , lekin aapko phale jaane hogya ki aapko kis subject me padhai karni hai aur kya padhna hai . kon si padhai se aapko kya fayda hoga . Padhne ka tarika bhi aana chahiye .
Aapko karna kya hai , future me aap kya bana chahte hai ………..
Sabse pahle ye decide kare ke aapko future me kya karna hai ya kya banna hai . Agar doctor banna hai to science ki subject me achi padhai karni hogi . Agar pilot bana hai to mathematics subject me achi padhai karni hogi . pahle ache se soache ki aapko kya acha lagta hai aur aap kya bana chahte hai padh ke. Uske baaki cheese ayengi.
Agar aap confuse hai ji aapko kya bana hai , aur kya padhai karke kya bana skate hai to neeche diye gye cheezo ko pdhe aur aapne use me lagye . tabhi aap pdhne ka tarika jaan paye gye. Isme aapko batya jayegya ki kya banae ke liye kis cheez ki pdhi karne ka sahi tarika kya hai.Padhai karne ka sahi samay ………
Bahut log kehte h ki bahut padhai karni chahiye , din bhar padhai karni chahiye. Magar yaha hum aapko batye gye ki padhai karne ka sahi samay kya hota hai.
Padhai karne ke liye do samay yaani waqt sahi hai . ek subh , jaise hi aap uthe hai. Tab aapka dimg fresh hota hai aur agar ache se tabhi padhai kare to jo bhi aap padhegye wo aapko yaad rhe jayegI . Sirf 2 ghanta subh uth ke padhne se kaam ban jayegya. Lekin mann laga ke.
Aur Raat me sone se phale 2 ghante pdhai kar le . us waqt dimag me cheez baith jaati hai aur ache se yaad rhta hai . Humare pass din me 24 ghante hote hai usme se sirf 4 ghante subh aur raat me pdh le to yahi bhut hai aur sahi tarika bhi .
Pdhne aur saath saath likhe bhi……….
Samjhhne ki bhi koshish kare sirf pdhe nhi…….
Jb bhi aap pdhte h kuch to thoda sa smajhne ki bhi koshish kare . koi word samjh na aa raha ho to dictionary ya kisi aur chiz se help le leye . bhale he thori si padhai kare ek he page padhe magar us e samjhe aur mann he man repeat bhi kare . samajh samajh kar kari hue padhai insaan jeewan me kbhi nhi bhulta.
Jor jor se pdhe……..
Ek Routine bana kar padhai kare ……...
Padhai me routine bhut zaruri hai . Routine bana kar padhai kare , aaj kya padhna hai , kal kya padha tha , aur parso kya padhna hai . jo padhna uska revision karne se start kare fir aaj ki pdhai kare fir kal ki tayyari kare . is tarah se routine banana se aapko pata chale gya ki aapne kitni padhai ki hai aur kitni padhai karni baaki hai .
Discuss karne ki koshish kare…………
Aapne jo bhi padhai ki hai , wo aapne dosto se ya kisi se bhi discuss kare . agar koi na mile to kisi ko bhi samjhye ki aapne kya padha hai . smjhane se aapko aur jada yaad rhega aur aapka dimaag khulega aur bahut tez hoga.
Hum umeed karti hu ki aapko uppar likhi hue baate samjh me aayi hogi aur aap aapne achi future ke liye je tor kar mehnat karege aur Sabka naam roshan karege.
Agar aapko ye article pdh kar acha laga aur kuch acha ya naya sikha aapne to aapne dosto ko bhi sikhaye . Aur unhe ye link share kare . humari ye koshis rhegi ki aapko hum rozana kuch naaya sikhaye.
Agar aapko humse kuch puchna hai to comment me aap puch sakte hai . ab aap jaan chuke hai ki padhne ka Tarika aur sahi Tarika kya hai .
ConversionConversion EmoticonEmoticon